Thursday, 6 September 2007

Man Mandir (1971)

AYE MERI AANKHON K...

E mere aankho ke pehle sapne......
Man Mandir (1971).
Singers:Lata Mangeshker & Mukesh.
Music:Laxmikant-Pyarelal.

Wednesday, 5 September 2007

Saath Saath (1982)

tumko dekha to ye....

Saath Saath (1982)
Tumko dekha to ye khayaal aaya.
Singer:Jagjit Sing.
Music:Kuldeep Singh

Tumko dekhaa to ye kayaal aayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa
tumako...

aaj phir dilane ek tamannaa kii - (2)
aaj phir dilako hamane samajhaayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa...

tum chale jaaoge to soche nge - (2)
hamane kyaa khoyaa- hamane kyaa paayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa...

ham jise gunagunaa nahii n sakate - (2)
vaqt ne aisaa giit kyuu n gaayaa
zindagii dhuup tum ghanaa saayaa...

Gazal-Tumko Dekha to ye Khayaal aaya

Tumko Dekha To Kha...

Tumko Dekha to Ye Khayaal Aaya.

A very famous gazal sung by gazal king Jagjit Sing.

Monday, 3 September 2007

Khamoshi-1969

Kishore Kumar - Wo...

Khamoshi-1969.
singer:Kishore Kumar.
Music:Hemant Kumar.

Woh shaam kuchh ajeeb thi, yeh shaam bhi ajeeb hai
Woh kal bhi paas paas thi woh aaj bhi kareeb hai ] 2
Woh shaam kuchh ajeeb thi

Jhuki hui nigaahon mein, kahin mera khayaal tha
Dabi dabi hansi mein ik, haseen saa gulaal tha
Main sochta tha, mera naam gunguna rahi hai woh -2
Na jaane kyon laga mujhe, ke muskura rahi hai woh
Woh shaam kuchh ajeeb thi

Mera khayaal hai abhi jhuki hui nigaah mein
Khuli hui hansi bhi hai, dabi hui si chaah mein
Main janta hoon, mera naam gunguna rahi hai woh
Yahi khayaal hai mujhe, ke saath aa rahi hai woh
Woh shaam kuchh ajeeb thi, yeh shaam bhi ajeeb hai
Woh kal bhi paas paas thi woh aaj bhi kareeb hai
Woh shaam kuchh ajeeb thi

Sunday, 2 September 2007

Tere Naam-2003

Get this widget | Share | Track details

Tere Naam-2003.
Music:Himesh Reshammia.
Singers:Udit Narayan & Alka Yagnik


La La La La La La Lala La La La La
Tere Naam Hum Ne Kiya Hai Jeevan Aapna Sara Sanam
Ho Jeevan Aapna Sara Sanam
Tere Naam Tere Naam
Tere Naam Hum Ne Kiya Hai Jeevan Aapna Sara Sanam
Ho Jeevan Aapna Sara Sanam
Pyaar Bahut Karte Hai Tumse Ishq Hai Tu Humara Sanam
Ho Ishq Hai Tu Humara Sanam
La La La La La La Lala La La La La
La La La La La La La La La La La La La La La La La

Tere Ishq Ne Saathiya Tera Haal Kya Kardiya
Tere Ishq Ne Saathiya Tera Haal Kya Kardiya
Neeindo Mein Aankhon Mein Pyaase Khwabon Mein
Tu Hi Tu Hai Yara Mehki Saason Mein
Har Bechaini Reh Reh Ke Yeh Kehti Hai
Har Dhadkan Mein Teri Chahat Rehti Hai
Tere Bina Tere Bina
Tere Bina Naamumkin Hai Zindagi Ka Guzara Sanam
Ho Zindagi Ka Guzara Sanam

Lagi Chote Na Lagi Chote Na Lagi Chote Na
Ishq Ka Dhaga Tote Na
Lagi Chote Na Lagi Chote Na Lagi Chote Na
Ishq Ka Dhaga Tote Na
Tere Ishq Ne Saathiya Tera Haal Kya Kardiya
Tere Ishq Ne Saathiya Tera Haal Kya Kardiya

Durri Hai Majboori Hai Tanhayi Hai
Teri Yaad Hume Kis Mood Pe Layi Hai
Aapni To Manzil Hai Teri Raahon Mein
Jeena Marna Hai Ab Teri Bahon Mein
Tere Liye Tere Liye
Tere Liye Is Duniya Ka Har Sitam Hai Gawara Sanam
Ho Har Sitam Hai Gawara Sanam
Tere Naam Hum Ne Kiya Hai Jeevan Aapna Sara Sanam
Ho Jeevan Aapna Sara Sanam

Tere Naam Tere Naam

Saturday, 1 September 2007

Ghar (1978)

Aap Ki Aankho Main...

Ghar (1978)
Singers:Kishore Kumar & Lata mangeshker.
Music:Late R.D.Burman.

Kk: Aap Ki Aankhon Mein Kuch Mehke Hue Se Raaz Hai (2)
Aap Se Bhi Khubsoorat Aap Ke Andaaz Hai
Aap Ki Aankhon Mein Kuch Mehke Hue Se Raaz Hai

Lab Hile To Mogare Ke Phool Khilte Hai Kahin (2)
Aap Ki Aankhon Mein Kya Saahil Bhi Milte Hai Kahin
Aap Ki Khaamoshiyaan Bhi Aap Ki Aawaaz Hai

Lm: Aap Ki Aankhon Mein Kuch Mehke Hue Se Raaz Hai
Aap Se Bhi Khubsoorat Aap Ke Andaaz Hai
Aap Ki Aankhon Mein Kuch Mehke Hue Se Raaz Hai

Aap Ki Baaton Mein Phir Koyi Sharaarat To Nahin (2)
Bevajeh Taareef Karna Aap Ki Aadat To Nahin
Aap Ki Badmaashiyon Ke Yeh Naye Andaaz Hai

Kk: Aap Ki Aankhon Mein Kuch Mehke Hue Se Raaz Hai
Lm: Ho Aap Se Bhi Khubsoorat Aap Ke Andaaz Hai
Aap Ki Aankhon Mein Kuch Mehke Hue Se Raaz Hai

Navrang (1959)

Adha Hai Chandrama...
>
Navrang (1959).
Singers:Mahendra Kapoor & Asha Bhosle.
Music:Late C.Ramchandra

Mahendra:
Aadha hai chandrama raat aadhi -2
Reh na jaye teri meri baat aadhi, mulaqat aadhi
Aadha hai chandrama raat aadhi
Reh na jaye teri meri baat aadhi, mulaqat aadhi
Aadha hai chandrama

Asha:
(Piya aadhi hai pyaar ki bhaashhaa
Aadhi rehne do man ki abhilaasha) -2
Aadhe chalke nayan aadhe chhalke nayan
Aadhi palkon mein bhi hai barsaat aadhi
Aadha hai chandrama raat aadhi
Reh na jaye teri meri baat aadhi, mulaqat aadhi
Aadha hai chandrama

Mahendra:
(Aas kab tak rahegi adhoori
Pyaar hogi nahin kya yeh poori) -2
Pyaasa-pyaasa pawan pyaasa-pyaasa gagan
Pyaase taaron ki bhi hai baaraat aadhi
Aadha hai chandrama raat aadhi
Reh na jaye teri meri baat aadhi, mulaqat aadhi
Aadha hai chandrama

Asha:
(Sur aadha hai shyaam ne saadha
Raha raadha ka pyaar bhi aadha) -2
Nain aadhe khile honth aadhe mile
Rehi pal mein milan ki woh baat aadhi
Aadha hai chandrama raat aadhi
Reh na jaye teri meri baat aadhi, mulaqat aadhi
Aadha hai chandrama